aa chal ke basen ham-dam-e-daireena kahi aur
main dhoondh nikaloonga falak aur zameen aur
bachti hui nazaron se tapakte hain fasaane
ijaad takallum ki hui tarz-e-haseen aur
gulha-e-tabassum pe nazar daalne waale
in honthon mein pinhaan hain kai khuld-e-bareen aur
zau-baar-o-darkhan hai ye anwaar-e-khudi se
sajdon ki siyaahi ko hai matlab jabeen aur
ik ashk mein tabdeel hua apna saraapa
kuchh maang le ulfat se meri jaan-e-hazeen aur
zulfon ko zara aur bhi aankhon pe jhuka do
maykhaane se baadal ko karo kuchh to qareen aur
altaaf mujhe jis ne diya dard-e-mohabbat
us aankh mein kya aisi koi cheez nahin aur
आ चल के बसें हम-दम-ए-दैरीना कहीं और
मैं ढूँढ निकालूँगा फ़लक और ज़मीं और
बचती हुई नज़रों से टपकते हैं फ़साने
ईजाद तकल्लुम की हुई तर्ज़-ए-हसीं और
गुल्हा-ए-तबस्सुम पे नज़र डालने वाले
इन होंठों में पिन्हाँ हैं कई ख़ुल्द-ए-बरीं और
ज़ौ-बार-ओ-दरख़्शाँ है ये अनवार-ए-ख़ुदी से
सज्दों की सियाही को है मतलूब जबीं और
इक अश्क में तब्दील हुआ अपना सरापा
कुछ माँग ले उल्फ़त से मिरी जान-ए-हज़ीं और
ज़ुल्फ़ों को ज़रा और भी आँखों पे झुका दो
मयख़ाने से बादल को करो कुछ तो क़रीं और
'अलताफ़' मुझे जिस ने दिया दर्द-ए-मोहब्बत
उस आँख में क्या ऐसी कोई चीज़ नहीं और
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Mashhadi
our suggestion based on Altaf Mashhadi
As you were reading Nazar Shayari Shayari