phir kaaynaat-e-yaad pe lahara gai hain vo
seene mein ek aag si sulga gai hain vo
allah re chashm-e-shokh ka nazzara-e-haseen
dil mein nazar ke saath hi khud aa gai hain vo
ai aarzoo-e-deed nigaahon ka kya qusoor
uthte hi un ke baam pe sharma gai hain vo
aayega phir se aankh mein saawan shabaab par
lahore se suna hai ki ukta gai hain vo
roti hai aarzoo meri seene pe rakh ke haath
shaayad nazar ke teer se burma gai hain vo
altaaf aa rahi theen uthaaye hue naqaab
paate hi mujh ko raah mein ghabra gai hain vo
फिर काएनात-ए-याद पे लहरा गई हैं वो
सीने में एक आग सी सुलगा गई हैं वो
अल्लाह रे चश्म-ए-शोख़ का नज़्ज़ारा-ए-हसीं
दिल में नज़र के साथ ही ख़ुद आ गई हैं वो
ऐ आरज़ू-ए-दीद निगाहों का क्या क़ुसूर
उठते ही उन के बाम पे शर्मा गई हैं वो
आएगा फिर से आँख में सावन शबाब पर
लाहौर से सुना है कि उक्ता गई हैं वो
रोती है आरज़ू मिरी सीने पे रख के हाथ
शायद नज़र के तीर से बर्मा गई हैं वो
'अलताफ़' आ रही थीं उठाए हुए नक़ाब
पाते ही मुझ को राह में घबरा गई हैं वो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Mashhadi
our suggestion based on Altaf Mashhadi
As you were reading Gareebi Shayari Shayari