qareeb aa ke bhi koi kahe nahin milna
sabhi se haath milaana gale nahin milna
tumhaare chhod ke jaane se main ne seekha hai
jo dher shauq se aaye use nahin milna
tere baghair guzarte hue dinon ki qasam
ye din guzar bhi gaye to tujhe nahin milna
zara si der mein insaan seekh jaata hai
ki kis se doori bhali hai kise nahin milna
mahal mein goonji hai awaaz shah zaade ki
gale lagao mujhe phir samay nahin milna
क़रीब आ के भी कोई कहे नहीं मिलना
सभी से हाथ मिलाना गले नहीं मिलना
तुम्हारे छोड़ के जाने से मैं ने सीखा है
जो ढेर शौक़ से आए उसे नहीं मिलना
तेरे बग़ैर गुज़रते हुए दिनों की क़सम
ये दिन गुज़र भी गए तो तुझे नहीं मिलना
ज़रा सी देर में इंसान सीख जाता है
कि किस से दूरी भली है किसे नहीं मिलना
महल में गूँजी है आवाज़ शाह ज़ादे की
गले लगाओ मुझे फिर समय नहीं मिलना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aman Shahzadi
our suggestion based on Aman Shahzadi
As you were reading Insaan Shayari Shayari