zindagi ke saath bahte ja rahe hain
aur apni baat kahte ja rahe hain
vo samjhte hain ki unki jeet hai ye
ham khushi se maat sahte ja rahe hain
ek pal tak jo mahal ke roop mein the
vo sabhi jazbaat dhahte ja rahe hain
naukri ghar aur bacchon ki padhaai
ke liye har baat sahte ja rahe hain
sochte hain ab inhen azaad kar den
ham gamon ke saath rahte ja rahe hain
ज़िन्दगी के साथ बहते जा रहे हैं
और अपनी बात कहते जा रहे हैं
वो समझते हैं कि उनकी जीत है ये
हम ख़ुशी से मात सहते जा रहे हैं
एक पल तक जो महल के रूप में थे
वो सभी जज़्बात ढहते जा रहे हैं
नौकरी, घर, और बच्चों की पढ़ाई
के लिए हर बात सहते जा रहे हैं
सोचते हैं अब इन्हें आज़ाद कर दें
हम ग़मों के साथ रहते जा रहे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aman G Mishra
our suggestion based on Aman G Mishra
As you were reading Rahbar Shayari Shayari