pehle tahqeeqaat karo
phir kuchh munh se baat karo
zabaan hai iska matlab tum
yun hi nahin khairaat karo
kya dukh tumhein sataata hai
aao baitho baat karo
man halka ho jaayega
ek nayi shuruaat karo
ambar se gar ichchha nahin
taaron se hi baat karo
पहले तहक़ीक़ात करो
फिर कुछ मुँह से बात करो
ज़बाँ है इसका मतलब तुम
यूँ ही नहीं ख़ैरात करो
क्या दुख तुम्हें सताता है
आओ बैठो बात करो
मन हल्का हो जाएगा
एक नई शुरुआत करो
अम्बर से गर इच्छा नहीं
तारों से ही बात करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambar
our suggestion based on Ambar
As you were reading Azal Shayari Shayari