vo maseeha na bana ham ne bhi khwaahish nahin ki | वो मसीहा न बना हम ने भी ख़्वाहिश नहीं की

  - Ambreen Haseeb Ambar

vo maseeha na bana ham ne bhi khwaahish nahin ki
apni sharton pe jiye us se guzarish nahin ki

us ne ik roz kiya ham se achaanak vo sawaal
dhadkanein tham si gaeein waqt ne jumbish nahin ki

kis liye bujhne lage awwal-e-shab saare charaagh
aandhiyon ne bhi agarche koi saazish nahin ki

ab ke ham ne bhi diya tark-e-taalluq ka jawaab
hont khaamosh rahe aankh ne baarish nahin ki

ham to sunte the ki mil jaate hain bichhde hue log
tu jo bichhda hai to kya waqt ne gardish nahin ki

us ne zaahir na kiya apna pashemaan hona
ham bhi anjaan rahe ham ne bhi pursish nahin ki

वो मसीहा न बना हम ने भी ख़्वाहिश नहीं की
अपनी शर्तों पे जिए उस से गुज़ारिश नहीं की

उस ने इक रोज़ किया हम से अचानक वो सवाल
धड़कनें थम सी गईं वक़्त ने जुम्बिश नहीं की

किस लिए बुझने लगे अव्वल-ए-शब सारे चराग़
आँधियों ने भी अगरचे कोई साज़िश नहीं की

अब के हम ने भी दिया तर्क-ए-तअल्लुक़ का जवाब
होंट ख़ामोश रहे आँख ने बारिश नहीं की

हम तो सुनते थे कि मिल जाते हैं बिछड़े हुए लोग
तू जो बिछड़ा है तो क्या वक़्त ने गर्दिश नहीं की

उस ने ज़ाहिर न किया अपना पशेमाँ होना
हम भी अंजान रहे हम ने भी पुर्सिश नहीं की

  - Ambreen Haseeb Ambar

Bekhabri Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ambreen Haseeb Ambar

As you were reading Shayari by Ambreen Haseeb Ambar

Similar Writers

our suggestion based on Ambreen Haseeb Ambar

Similar Moods

As you were reading Bekhabri Shayari Shayari