guzre hue waqton ka nishaan tha to kahaan tha
ham se jo nihaan hai vo ayaan tha to kahaan tha
basti ka taqaza hai kahi hain to kahaan hain
majnoon ka biyaabaan mein makaan tha to kahaan tha
ab sochte hain baith ke gulshan ki fazaa mein
sehra mein hamaara jo makaan tha to kahaan tha
nashsha hi nahin sab ka bharam toot raha tha
kahte hain koi peer-e-mugaan tha to kahaan tha
is tarah liptati hai udaasi ki ye sochen
do pal ki khushi ka jo gumaan tha to kahaan tha
peeri hai buzurgi hai budhaapa hai ki kya hai
is karb mein rahna ki jawaan tha to kahaan tha
aamir ko humeen dhundh ke laayein hain b-mushkil
kahte hain vo pehle se yahan tha to kahaan tha
गुज़रे हुए वक़्तों का निशाँ था तो कहाँ था
हम से जो निहाँ है वो अयाँ था तो कहाँ था
बस्ती का तक़ाज़ा है कहीं हैं तो कहाँ हैं
मजनूँ का बयाबाँ में मकाँ था तो कहाँ था
अब सोचते हैं बैठ के गुलशन की फ़ज़ा में
सहरा में हमारा जो मकाँ था तो कहाँ था
नश्शा ही नहीं सब का भरम टूट रहा था
कहते हैं कोई पीर-ए-मुग़ाँ था तो कहाँ था
इस तरह लिपटती है उदासी कि ये सोचें
दो पल की ख़ुशी का जो गुमाँ था तो कहाँ था
पीरी है बुज़ुर्गी है बुढ़ापा है कि क्या है
इस कर्ब में रहना कि जवाँ था तो कहाँ था
'आमिर' को हमीं ढूँड के लाएँ हैं ब-मुश्किल
कहते हैं वो पहले से यहाँ था तो कहाँ था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Imam
our suggestion based on Ameer Imam
As you were reading Gulshan Shayari Shayari