shehar mein saare charaagon ki ziya khaamosh hai
teergi har samt faila kar hawa khaamosh hai
subh ko phir shor ke ham-raah chalna hai use
raat mein yun dil dhadkane ki sada khaamosh hai
kaisa sannaata tha jis mein lafz-e-kun kehne ke b'ad
gumbad-e-aflaak mein ab tak khuda khaamosh hai
kuchh bataata hi nahin guzri hai kya pardes mein
apne ghar ko lautaa ek qaafila khaamosh hai
uth rahi hai meri mitti se sadaa-e-al-atash
khaali mashkiza liye apna ghatta khaamosh hai
शहर में सारे चराग़ों की ज़िया ख़ामोश है
तीरगी हर सम्त फैला कर हवा ख़ामोश है
सुब्ह को फिर शोर के हम-राह चलना है उसे
रात में यूँ दिल धड़कने की सदा ख़ामोश है
कैसा सन्नाटा था जिस में लफ़्ज़-ए-कुन कहने के ब'अद
गुम्बद-ए-अफ़्लाक में अब तक ख़ुदा ख़ामोश है
कुछ बताता ही नहीं गुज़री है क्या परदेस में
अपने घर को लौटता एक क़ाफ़िला ख़ामोश है
उठ रही है मेरी मिट्टी से सदा-ए-अल-अतश
ख़ाली मश्कीज़ा लिए अपना घटा ख़ामोश है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Imam
our suggestion based on Ameer Imam
As you were reading Aahat Shayari Shayari