firaq-e-yaar ne bechain mujh ko raat bhar rakha
kabhi takiya idhar rakha kabhi takiya idhar rakha
shikast-e-dil ka baaki ham ne gurbat mein asar rakha
likha ahl-e-watan ko khat to ik gosha katar rakha
barabar aaine ke bhi na samjhe qadr vo dil ki
ise zer-e-qadam rakha use peshe-e-nazar rakha
mitaaye deeda-o-dil dono mere ashk-e-khoonin ne
ajab ye tifl abtar tha na ghar rakha na dar rakha
tumhaare sang-e-dar ka ek tukda bhi jo haath aaya
aziz aisa kiya mar kar use chaati pe dhar rakha
jinaan mein saath apne kyun na le jaaunga naaseh ko
sulook aisa hi mere saath hai hazrat ne kar rakha
na ki kis ne sifaarish meri waqt-e-qatl qaateel se
kamaan ne haath jode teg ne qadmon pe sar rakha
gazab barase vo mere aate hi maaloom hota hai
jagah khaali jo paai yaar ko ghairoon ne bhar rakha
bada ehsaan hai mere sar pe us ki laghizish-e-paa ka
ki is ne be-tahaasha haath mere dosh par rakha
zameen mein daana-e-gandum sadaf mein ham hue gauhar
hamaare izz ne har ma'araka mein ham ko dar rakha
tire har naqsh-e-paa ko raahguzaar mein sajda-gah samjhe
jahaan tu ne qadam rakha wahan main ne bhi sar rakha
ameer achha shagoon-e-may kiya saaqi ki furqat mein
jo barsa abr-e-rahmat jaa-e-may sheeshon mein bhar rakha
फ़िराक़-ए-यार ने बेचैन मुझ को रात भर रक्खा
कभी तकिया इधर रक्खा कभी तकिया इधर रक्खा
शिकस्त-ए-दिल का बाक़ी हम ने ग़ुर्बत में असर रखा
लिखा अहल-ए-वतन को ख़त तो इक गोशा कतर रक्खा
बराबर आईने के भी न समझे क़द्र वो दिल की
इसे ज़ेर-ए-क़दम रक्खा उसे पेश-ए-नज़र रक्खा
मिटाए दीदा-ओ-दिल दोनों मेरे अश्क-ए-ख़ूनीं ने
अजब ये तिफ़्ल अबतर था न घर रक्खा न दर रक्खा
तुम्हारे संग-ए-दर का एक टुकड़ा भी जो हाथ आया
अज़ीज़ ऐसा किया मर कर उसे छाती पे धर रक्खा
जिनाँ में साथ अपने क्यूँ न ले जाऊँगा नासेह को
सुलूक ऐसा ही मेरे साथ है हज़रत ने कर रक्खा
न की किस ने सिफ़ारिश मेरी वक़्त-ए-क़त्ल क़ातिल से
कमाँ ने हाथ जोड़े तेग़ ने क़दमों पे सर रक्खा
ग़ज़ब बरसे वो मेरे आते ही मालूम होता है
जगह ख़ाली जो पाई यार को ग़ैरों ने भर रक्खा
बड़ा एहसाँ है मेरे सर पे उस की लग़्ज़िश-ए-पा का
कि इस ने बे-तहाशा हाथ मेरे दोश पर रक्खा
ज़मीं में दाना-ए-गंदुम सदफ़ में हम हुए गौहर
हमारे इज्ज़ ने हर मअ'रका में हम को दर रक्खा
तिरे हर नक़्श-ए-पा को रहगुज़र में सज्दा-गह समझे
जहाँ तू ने क़दम रक्खा वहाँ मैं ने भी सर रक्खा
अमीर अच्छा शगून-ए-मय किया साक़ी की फ़ुर्क़त में
जो बरसा अब्र-ए-रहमत जा-ए-मय शीशों में भर रक्खा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Minai
our suggestion based on Ameer Minai
As you were reading Relationship Shayari Shayari