hain na zindon mein na murdon mein kamar ke aashiq | हैं न ज़िंदों में न मुर्दों में कमर के आशिक़ - Ameer Minai

hain na zindon mein na murdon mein kamar ke aashiq
na idhar ke hain ilaahi na udhar ke aashiq

hai wahi aankh jo mushtaaq tire deed ki ho
kaan vo hain jo rahein teri khabar ke aashiq

jitne naavak hain kamaan-daar tire tarkash mein
kuchh mere dil ke hain kuchh mere jigar ke aashiq

brahman dair se kaabe se phir aaye haaji
tere dar se na sarkana tha na sarke aashiq

aankh dikhlaao unhen marte hon jo aankhon par
ham to hain yaar mohabbat ki nazar ke aashiq

chhup rahe honge nazar se kahi anqa ki tarah
tauba kijeye kahi marte hain kamar ke aashiq

be-jigar maarka-e-ishq mein kya thehrenge
khaate hain khanjar-e-maashooq ke charke aashiq

tujh ko kaaba ho mubarak dil-e-veeraan ham ko
ham hain zaahid usi ujde hue ghar ke aashiq

kya hua leti hain pariyaan jo balaaen teri
ki pari-zaad bhi hote hain bashar ke aashiq

be-kasi dard-o-alam daagh tamannaa hasrat
chhode jaate hain pas-e-marg ye tarke aashiq

be-sabab sair-e-shab-e-maah nahin hai ye ameer
ho gaye tum bhi kisi rashk-e-qamar ke aashiq

हैं न ज़िंदों में न मुर्दों में कमर के आशिक़
न इधर के हैं इलाही न उधर के आशिक़

है वही आँख जो मुश्ताक़ तिरे दीद की हो
कान वो हैं जो रहें तेरी ख़बर के आशिक़

जितने नावक हैं कमाँ-दार तिरे तरकश में
कुछ मिरे दिल के हैं कुछ मेरे जिगर के आशिक़

बरहमन दैर से काबे से फिर आए हाजी
तेरे दर से न सरकना था न सरके आशिक़

आँख दिखलाओ उन्हें मरते हों जो आँखों पर
हम तो हैं यार मोहब्बत की नज़र के आशिक़

छुप रहे होंगे नज़र से कहीं अन्क़ा की तरह
तौबा कीजे कहीं मरते हैं कमर के आशिक़

बे-जिगर मारका-ए-इश्क़ में क्या ठहरेंगे
खाते हैं ख़ंजर-ए-माशूक़ के चरके आशिक़

तुझ को काबा हो मुबारक दिल-ए-वीराँ हम को
हम हैं ज़ाहिद उसी उजड़े हुए घर के आशिक़

क्या हुआ लेती हैं परियाँ जो बलाएँ तेरी
कि परी-ज़ाद भी होते हैं बशर के आशिक़

बे-कसी दर्द-ओ-अलम दाग़ तमन्ना हसरत
छोड़े जाते हैं पस-ए-मर्ग ये तर्के आशिक़

बे-सबब सैर-ए-शब-ए-माह नहीं है ये 'अमीर'
हो गए तुम भी किसी रश्क-ए-क़मर के आशिक़

- Ameer Minai
0 Likes

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari