us ki hasrat hai jise dil se mita bhi na sakoon | उस की हसरत है जिसे दिल से मिटा भी न सकूँ

  - Ameer Minai

us ki hasrat hai jise dil se mita bhi na sakoon
dhoondhne us ko chala hoon jise pa bhi na sakoon

daal ke khaak mere khoon pe qaateel ne kaha
kuchh ye mehndi nahin meri ki chhupa bhi na sakoon

zabt kam-bakht ne yaa aa ke gala ghonta hai
ki use haal sunaau to suna bhi na sakoon

naqsh-e-paa dekh to luun laakh karunga sajde
sar mera arsh nahin hai jo jhuka bhi na sakoon

bewafa likhte hain vo apne qalam se mujh ko
ye vo qismat ka likha hai jo mita bhi na sakoon

is tarah soye hain sar rakh ke mere zaanoo par
apni soi hui qismat ko jaga bhi na sakoon

उस की हसरत है जिसे दिल से मिटा भी न सकूँ
ढूँडने उस को चला हूँ जिसे पा भी न सकूँ

डाल के ख़ाक मेरे ख़ून पे क़ातिल ने कहा
कुछ ये मेहंदी नहीं मेरी कि छुपा भी न सकूँ

ज़ब्त कम-बख़्त ने याँ आ के गला घोंटा है
कि उसे हाल सुनाऊँ तो सुना भी न सकूँ

नक़्श-ए-पा देख तो लूँ लाख करूँगा सज्दे
सर मिरा अर्श नहीं है जो झुका भी न सकूँ

बेवफ़ा लिखते हैं वो अपने क़लम से मुझ को
ये वो क़िस्मत का लिखा है जो मिटा भी न सकूँ

इस तरह सोए हैं सर रख के मिरे ज़ानू पर
अपनी सोई हुई क़िस्मत को जगा भी न सकूँ

  - Ameer Minai

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari