kah bhi doon haal-e-dil agar shaayad | कह भी दूँ हाल-ए-दिल अगर शायद

  - Ameeta Parsuram Meeta

kah bhi doon haal-e-dil agar shaayad
un pe ho jaaye kuchh asar shaayad

ab zamaana hai bewafaai ka
seekh len ham bhi ye hunar shaayad

ba'ad muddat ke ye khayal aaya
raas aaya nahin safar shaayad

ham hi ab tak samajh nahin paaye
kuchh to kahti hai vo nazar shaayad

vaise to fasla nahin koi
kashmakash hai agar magar shaayad

har nazaare mein us ka hi jalwa
tum ko aata nahin nazar shaayad

ajnabi ajnabi se chehre hain
ye nahin hai mera nagar shaayad

neend taari hai aasmaanon par
ya dua mein nahin asar shaayad

ab koi aarzoo nahin baaki
khatm hota hai ye safar shaayad

mauj-dar-mauj ek nashsha tha
ab vo dariya gaya utar shaayad

zindagi ab tujhe sanwaare kya
koshishein saari be-asar shaayad

ik jahaan ajnabi raha meetaa
ik jahaan mujh se ba-khabar shaayad

कह भी दूँ हाल-ए-दिल अगर शायद
उन पे हो जाए कुछ असर शायद

अब ज़माना है बेवफ़ाई का
सीख लें हम भी ये हुनर शायद

बा'द मुद्दत के ये ख़याल आया
रास आया नहीं सफ़र शायद

हम ही अब तक समझ नहीं पाए
कुछ तो कहती है वो नज़र शायद

वैसे तो फ़ासला नहीं कोई
कश्मकश है अगर मगर शायद

हर नज़ारे में उस का ही जल्वा
तुम को आता नहीं नज़र शायद

अजनबी अजनबी से चेहरे हैं
ये नहीं है मिरा नगर शायद

नींद तारी है आसमानों पर
या दुआ में नहीं असर शायद

अब कोई आरज़ू नहीं बाक़ी
ख़त्म होता है ये सफ़र शायद

मौज-दर-मौज एक नश्शा था
अब वो दरिया गया उतर शायद

ज़िंदगी अब तुझे सँवारे क्या
कोशिशें सारी बे-असर शायद

इक जहाँ अजनबी रहा 'मीता'
इक जहाँ मुझ से बा-ख़बर शायद

  - Ameeta Parsuram Meeta

Attitude Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameeta Parsuram Meeta

As you were reading Shayari by Ameeta Parsuram Meeta

Similar Writers

our suggestion based on Ameeta Parsuram Meeta

Similar Moods

As you were reading Attitude Shayari Shayari