bhari hai tair ke unchi udaan paani mein
go machliyon ka ho ik aasmaan paani mein
utar rahi hai tire tan se jheel mein bijli
nikal na jaaye kahi meri jaan paani mein
tamashbeen thi janta tamashbeen rahi
nagar ke doob gaye sab makaan paani mein
jamee hui hai ye naddi pighal bhi jaane do
utar ke aao kabhi meri jaan paani mein
main jal-paree hoon sitaaron se mujh ko kya matlab
meri zameen mera aasmaan paani mein
yaqeen jhooti gawaahi ka kar liya sab ne
bilakte rah gaye khun ke nishaan paani mein
भरी है तैर के ऊँची उड़ान पानी में
गो मछलियों का हो इक आसमान पानी में
उतर रही है तिरे तन से झील में बिजली
निकल न जाए कहीं मेरी जान पानी में
तमाशबीन थी जनता तमाशबीन रही
नगर के डूब गए सब मकान पानी में
जमी हुई है ये नद्दी पिघल भी जाने दो
उतर के आओ कभी मेरी जान पानी में
मैं जल-परी हूँ सितारों से मुझ को क्या मतलब
मिरी ज़मीन मिरा आसमान पानी में
यक़ीन झूटी गवाही का कर लिया सब ने
बिलकते रह गए ख़ूँ के निशान पानी में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amit Jha Rahi
our suggestion based on Amit Jha Rahi
As you were reading Paani Shayari Shayari