main tera intikhaab le baitha | मैं तेरा इंतिख़ाब ले बैठा

  - Amit Nandan Dev

main tera intikhaab le baitha
ishq ka ik saraab le baitha

thak ke har ehtiyaat chhod diya
aur tujh se hisaab le baitha

kitni sadiyon se dil bhatkata tha
tu mila aur khwaab le baitha

teri khushboo mein tha junoon koii
main ghalat ik gulaab le baitha

main jise bandagi samajhta tha
vo kisi kii shabaab le baitha

raat us ne jawaab kya bheja
main sehar mein ajaab le baitha

khud ko dhoondhaa to tera naam aaya
jaise main ik khitaab le baitha

ishq ka mas'ala suljhta kya
falsafa behisaab le baitha

dev mansoob kar liya kis ko
kaun tha kya naqaab le baitha

मैं तेरा इंतिख़ाब ले बैठा
इश्क़ का इक सराब ले बैठा

थक के हर एहतियात छोड़ दिया
और तुझ से हिसाब ले बैठा

कितनी सदियों से दिल भटकता था
तू मिला और ख़्वाब ले बैठा

तेरी ख़ुशबू में था जुनूँ कोई
मैं ग़लत इक गुलाब ले बैठा

मैं जिसे बंदगी समझता था
वो किसी की शबाब ले बैठा

रात उस ने जवाब क्या भेजा
मैं सहर में अजाब ले बैठा

ख़ुद को ढूँढा तो तेरा नाम आया
जैसे मैं इक ख़िताब ले बैठा

इश्क़ का मसअला सुलझता क्या
फ़लसफ़ा बेहिसाब ले बैठा

देव मंसूब कर लिया किस को
कौन था क्या नक़ाब ले बैठा

  - Amit Nandan Dev

More by Amit Nandan Dev

As you were reading Shayari by Amit Nandan Dev

Similar Writers

our suggestion based on Amit Nandan Dev

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari