ye qalam sab kuchh hi likh jaaye zaroori to nahin
har dafa kaaghaz bhi bhar paaye zaroori to nahin
khat adhoora ho bhale hi arth gahra rakhta hai
par samajh har ek ko aaye zaroori to nahin
kuchh safar jaate hain beshak haadson kii or bhi
raah har manzil ko hi jaaye zaroori to nahin
mujhko ye duniya samjhti hai bahut shaadaab hoon
zakhm sab aankhon ko dik paaye zaroori to nahin
kuchh parinden raat bhar yun hi bhatkte hain fuzool
har parinda shama ko paaye zaroori to nahin
phool bhi kuchh zindagi bhar kii chubhan de jaate hain
chot bas kaanton se hi aaye zaroori to nahin
maana tum par chadh raha hai rang gahra ishq ka
par nasha mujh par bhi chhaa jaaye zaroori to nahin
aashiqi ik bhool hai rehaan kahte firte ho
koii har ghalti pe pachhtaaye zaroori to nahin
ये क़लम सब कुछ ही लिख जाए ज़रूरी तो नहीं
हर दफ़ा काग़ज़ भी भर पाए ज़रूरी तो नहीं
ख़त अधूरा हो भले ही अर्थ गहरा रखता है
पर समझ हर एक को आए ज़रूरी तो नहीं
कुछ सफ़र जाते हैं बेशक हादसों की ओर भी
राह हर मंज़िल को ही जाए ज़रूरी तो नहीं
मुझको ये दुनिया समझती है बहुत शादाब हूँ
ज़ख़्म सब आँखों को दिख पाए ज़रूरी तो नहीं
कुछ परिन्दें रात भर यूँ ही भटकते हैं फ़िज़ूल
हर परिन्दा शमअ को पाए ज़रूरी तो नहीं
फूल भी कुछ ज़िन्दगी भर की चुभन दे जाते हैं
चोट बस काँटों से ही आए ज़रूरी तो नहीं
माना तुम पर चढ़ रहा है रंग गहरा इश्क़ का
पर नशा मुझ पर भी छा जाए ज़रूरी तो नहीं
आशिक़ी इक भूल है 'रेहान' कहते फिरते हो
कोई हर ग़लती पे पछताए ज़रूरी तो नहीं
As you were reading Shayari by Rehaan
our suggestion based on Rehaan
As you were reading undefined Shayari