ishq us ko mujh se hai ya tha kabhi
mar ke bhi main jaan na paaya kabhi
fikr mujh se poochhti hai raat-din
neend hai phir kyun nahin sota kabhi
daayron ke daayere hai sab jagah
dayra bhi khush nahin hoga kabhi
kaatne par saanp ke kuchh na hua
daantne par us ke main roya kabhi
waqt mujh ko har dafa pakde rakha
waqt ko main na pakad paaya kabhi
boond hi baaki bachi hai ishq ki
bah raha hota tha ik jharna kabhi
aaj bhi aanand hans kar hi mila
dard us ka kam nahin hoga kabhi
इश्क़ उस को मुझ से है या था कभी
मर के भी मैं जान न पाया कभी
फ़िक्र मुझ से पूछती है रात-दिन
नींद है फिर क्यों नहीं सोता कभी
दाएरों के दाएरे है सब जगह
दायरा भी ख़ुश नहीं होगा कभी
काटने पर साँप के कुछ न हुआ
डाँटने पर उस के मैं रोया कभी
वक़्त मुझ को हर दफ़ा पकड़े रखा
वक़्त को मैं न पकड़ पाया कभी
बूँद ही बाक़ी बची है इश्क़ की
बह रहा होता था इक झरना कभी
आज भी 'आनंद' हँस कर ही मिला
दर्द उस का कम नहीं होगा कभी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anand Verma
our suggestion based on Anand Verma
As you were reading Manzil Shayari Shayari