rahi marzi bas uski hi jise jaisa bana daala
kabhi jo taaz tha sir ka use qaasa bana daala
banaai bhi zameen usne to ik jaisi nahin ye bhi
kahi sehra kahi jungle kahi dariya bana daala
banaane waale ke haathon ki hai kaarigari ye sab
zameen pe bhi koi chehra khuda jaisa bana daala
ham aison ko bana kar ke khuda ukta gaya tha phir
tiri aankhen bana daali tira chehra bana daala
रही मर्ज़ी बस उसकी ही जिसे जैसा बना डाला
कभी जो ताज़ था सिर का उसे कासा बना डाला
बनाई भी ज़मीं उसने तो इक जैसी नहीं ये भी
कहीं सहरा कहीं जंगल कहीं दरिया बना डाला
बनाने वाले के हाथों की है कारीगरी ये सब
ज़मीं पे भी कोई चेहरा ख़ुदा जैसा बना डाला
हम ऐसों को बना कर के ख़ुदा उकता गया था फिर
तिरी आंखें बना डाली तिरा चेहरा बना डाला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ankit Maurya
our suggestion based on Ankit Maurya
As you were reading Samundar Shayari Shayari