har badi machhli se hum to is tarah se dar gaye | हर बड़ी मछली से हम तो इस तरह से डर गए - anupam shah

har badi machhli se hum to is tarah se dar gaye
hum ne taalaabon ko chhoda phir naye se ghar gaye

jo naye se raaste the mushkilon se the bhare
paanv kitnon ke gaye kitnon ke usme sar gaye

der kar di jin mein hum ne sar talak vo aa gaye
hardbadi me kaam saare hum galat vo kar gaye

saans ka aana hua phir saans ka jaana hua
hamko naamaloom hum zinda hain ya phir mar gaye

ab nahin sunte hain vo bhi doosron ki baat ko
zakhm jitne bhi the unke ab jo saare bhar gaye

हर बड़ी मछली से हम तो इस तरह से डर गए
हम ने तालाबों को छोड़ा फिर नए से घर गए

जो नए से रास्ते थे मुश्किलों से थे भरे
पाँव कितनों के गए कितनों के उसमे सर गए

देर कर दी जिन में हम ने सर तलक वो आ गए
हड़बड़ी मे काम सारे हम गलत वो कर गए

साँस का आना हुआ फिर साँस का जाना हुआ
हमको नामालूम हम ज़िन्दा हैं या फिर मर गए

अब नहीं सुनते हैं वो भी दूसरों की बात को
ज़ख़्म जितने भी थे उनके अब जो सारे भर गए

- anupam shah
3 Likes

Terrorism Shayari

Our suggestion based on your choice

More by anupam shah

As you were reading Shayari by anupam shah

Similar Writers

our suggestion based on anupam shah

Similar Moods

As you were reading Terrorism Shayari Shayari