farishton se bhi achha main bura hone se pehle tha | फ़रिश्तों से भी अच्छा मैं बुरा होने से पहले था

  - Anwar Shaoor

farishton se bhi achha main bura hone se pehle tha
vo mujh se intihaai khush khafa hone se pehle tha

kiya karte the baatein zindagi-bhar saath dene ki
magar ye hausla ham mein juda hone se pehle tha

haqeeqat se khayal achha hai bedaari se khwaab achha
tasavvur mein vo kaisa saamna hone se pehle tha

agar maadum ko maujood kehne mein taammul hai
to jo kuchh bhi yahan hai aaj kya hone se pehle tha

kisi bichhde hue ka laut aana ghair-mumkin hai
mujhe bhi ye gumaan ik tajurba hone se pehle tha

shooor is se hamein kya intiha ke ba'ad kya hoga
bahut hoga to vo jo ibtida hone se pehle tha

फ़रिश्तों से भी अच्छा मैं बुरा होने से पहले था
वो मुझ से इंतिहाई ख़ुश ख़फ़ा होने से पहले था

किया करते थे बातें ज़िंदगी-भर साथ देने की
मगर ये हौसला हम में जुदा होने से पहले था

हक़ीक़त से ख़याल अच्छा है बेदारी से ख़्वाब अच्छा
तसव्वुर में वो कैसा सामना होने से पहले था

अगर मादूम को मौजूद कहने में तअम्मुल है
तो जो कुछ भी यहाँ है आज क्या होने से पहले था

किसी बिछड़े हुए का लौट आना ग़ैर-मुमकिन है
मुझे भी ये गुमाँ इक तजरबा होने से पहले था

'शुऊर' इस से हमें क्या इंतिहा के बा'द क्या होगा
बहुत होगा तो वो जो इब्तिदा होने से पहले था

  - Anwar Shaoor

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anwar Shaoor

As you were reading Shayari by Anwar Shaoor

Similar Writers

our suggestion based on Anwar Shaoor

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari