mujh se hi mujh ko ab to milaata nahin koi
ik aaina bhi mujh ko dikhaata nahin koi
kya jaane kya hue vo sharaafat pasand log
ab khairiyat bhi un ki bataata nahin koi
is khauf mein ki khud na bhatk jaayen raah mein
bhatke huoon ko raah dikhaata nahin koi
sacchaaiyon ke raaste sunsaan ho gaye
bhule se bhi yahan nazar aata nahin koi
hassaas hain jo aap to chehre padha karein
zakhamon ko apne aap dikhaata nahin koi
naakaamiyon ki sej pe baitha hoon is liye
taabaan yahan se mujh ko uthaata nahin koi
मुझ से ही मुझ को अब तो मिलाता नहीं कोई
इक आइना भी मुझ को दिखाता नहीं कोई
क्या जाने क्या हुए वो शराफ़त पसंद लोग
अब ख़ैरियत भी उन की बताता नहीं कोई
इस ख़ौफ़ में कि खुद न भटक जाएँ राह में
भटके हुओं को राह दिखाता नहीं कोई
सच्चाइयों के रास्ते सुनसान हो गए
भूले से भी यहाँ नज़र आता नहीं कोई
हस्सास हैं जो आप तो चेहरे पढ़ा करें
ज़ख़्मों को अपने आप दिखाता नहीं कोई
नाकामियों की सेज पे बैठा हूँ इस लिए
'ताबाँ' यहाँ से मुझ को उठाता नहीं कोई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anwar Taban
our suggestion based on Anwar Taban
As you were reading Nazar Shayari Shayari