naye charaagh nayi raushni ata karte | नए चराग़ नई रौशनी अता करते - Anwar Taban

naye charaagh nayi raushni ata karte
agar purane diye un se kuch wafa karte

main zindagi tere ehsaan mein daba hi raha
ik umr guzri tira qarz bhi ada karte

tujhe bhi aate musaafir salaam manzil ke
b-sad-khuloos jo tere qadam utha karte

khudi pasand anaasir hayaat ki khaatir
jo ehtijaaj na karte to aur kya karte

samajh se kaam jo leta har ek bashar taabaan
na haaha-kaar hi machte na ghar jala karte

नए चराग़ नई रौशनी अता करते
अगर पुराने दिए उन से कुछ वफ़ा करते

मैं ज़िंदगी तेरे एहसान में दबा ही रहा
इक उम्र गुज़री तिरा क़र्ज़ भी अदा करते

तुझे भी आते मुसाफ़िर सलाम मंज़िल के
ब-सद-ख़ुलूस जो तेरे क़दम उठा करते

ख़ुदी पसंद अनासिर हयात कि ख़ातिर
जो एहतिजाज न करते तो और क्या करते

समझ से काम जो लेता हर एक बशर 'ताबाँ'
न हाहा-कार ही मचते न घर जला करते

- Anwar Taban
0 Likes

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anwar Taban

As you were reading Shayari by Anwar Taban

Similar Writers

our suggestion based on Anwar Taban

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari