khushiyon se pare | ख़ुशियों से परे

  - Nishant Singh

khushiyon se pare

main pare hoon ab
main pare hoon un saari cheezein se
jo wajah hoti hain muskuraahaton ki
koi तस्वीर,जो kam kar deti hai udaasi ko
kisi ki yaad
ki jiske sahaare log umr guzaar dete hain
ya faqat ik ummeed
ek roz sab kuchh theek ho jaane ki
main baahar ho chuka hoon in saare khayaalon se

ye sab ek din mein nahin hua
ik सिलसिला,जो chala aa raha tha kai hafton se
mustakil ho gaya apne anjaam par pahunchkar
aur khatm kar diya
mere andar se mujhko

magar phir bhi
maahol ko badlne ke vaaste
is sookh chuke zindagi mein
koi naya waqiya aakar
purane waqiye se dhyaan hata deta hai
khushi ka sabab
ab sirf itna rah gaya hai ki
ek bhari dukh halke dukh ko daba deta hai

ख़ुशियों से परे

मैं परे हूँ अब
मैं परे हूँ उन सारी चीज़ों से
जो वजह होती हैं मुस्कुराहटों की
कोई तस्वीर,जो कम कर देती है उदासी को
किसी की याद
कि जिसके सहारे लोग उम्र गुज़ार देते हैं
या फ़क़त इक उम्मीद
एक रोज़ सब कुछ ठीक हो जाने की
मैं बाहर हो चुका हूँ इन सारे ख़यालों से

ये सब एक दिन में नहीं हुआ
इक सिलसिला,जो चला आ रहा था कई हफ़्तों से
मुस्तकिल हो गया अपने अंजाम पर पहुंचकर
और ख़त्म कर दिया
मेरे अंदर से मुझको

मगर फिर भी
माहौल को बदलने के वास्ते
इस सूख चुके ज़िंदगी में
कोई नया वाक़िया आकर
पुराने वाक़िये से ध्यान हटा देता है
ख़ुशी का सबब
अब सिर्फ़ इतना रह गया है कि
एक भारी दुख, हल्के दुख को दबा देता है

  - Nishant Singh

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nishant Singh

As you were reading Shayari by Nishant Singh

Similar Writers

our suggestion based on Nishant Singh

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari