is mohabbat ne kiye mashq-e-sitam rote hain ham
jo mohabbat ne diye ilzaam vo dhote hain ham
jab rag-e-khoon mein badhi chaahat mohabbat kii kabhi
yaad unko hi kiya har yaad mein khote hain ham
dil kii nazaron ko mile dhoke kai andaaz mein
aankh khulti hi gai tanhaai mein hote hain ham
ye mohabbat na-samajh hai zindagi ka kya karein
raat bhar kii neend khokar jaagte sote hain ham
aaj arjun ne kiya vaada mohabbat se abhi
paap hamne hai kiya ab bhool kar dhote hain ham
इस मोहब्बत ने किए मश्क़-ए-सितम रोते हैं हम
जो मोहब्बत ने दिए इल्ज़ाम वो ढोते हैं हम
जब रग-ए-ख़ूँ में बढ़ी चाहत मोहब्बत की कभी
याद उनको ही किया हर याद में खोते हैं हम
दिल की नज़रों को मिले धोखे कई अंदाज़ में
आँख खुलती ही गई तन्हाई में होते हैं हम
ये मोहब्बत ना-समझ है ज़िन्दगी का क्या करें
रात भर की नींद खोकर जागते सोते हैं हम
आज अर्जुन ने किया वादा मोहब्बत से अभी
पाप हमने है किया अब भूल कर धोते हैं हम
As you were reading Shayari by arjun chamoli
our suggestion based on arjun chamoli
As you were reading undefined Shayari