log khud ko kyun sanwaara karte hain | लोग ख़ुद को क्यों सँवारा करते हैं

  - arjun chamoli

log khud ko kyun sanwaara karte hain
aah bhar ke log un pe marte hain

ye nazar rukh se hataein kis tarah
par nazar rukh par pade to darte hain

dard badh jaata hai nazdeeki se aur
door se hi unko sajda karte hain

phool sahsa haath ne tha chhoo liya
tab se jaana phool pighla karte hain

phir kahin jannat-nigahen fer le
ham faraagh-e-dil ye sadqa karte hain

लोग ख़ुद को क्यों सँवारा करते हैं
आह भर के लोग उन पे मरते हैं

ये नज़र रुख़ से हटाऍं किस तरह
पर नज़र रुख़ पर पड़े तो डरते हैं

दर्द बढ़ जाता है नज़दीकी से और
दूर से ही उनको सज्दा करते हैं

फूल सहसा हाथ ने था छू लिया
तब से जाना फूल पिघला करते हैं

फिर कहीं जन्नत-निगाहें फेर ले
हम फ़राग़-ए-दिल ये सदक़ा करते हैं

  - arjun chamoli

More by arjun chamoli

As you were reading Shayari by arjun chamoli

Similar Writers

our suggestion based on arjun chamoli

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari