mehboob ne mujh ko bulane ke liye aawaaz di
yaadon ne phir mujh ko sataane ke liye aawaaz di
mere liye jo ishq mein aahen kabhi bharti rahi
ab berookhi mujh ko dikhaane ke liye aawaaz di
jis se kiya tha ishq kaamil jaan thi meri kabhi
us ne mujhe sab kuchh bhulaane ke liye aawaaz di
jis ishq kii khaatir kabhi li thi sabhi se dushmani
phir dosti un se jamaane ke liye aawaaz di
is zindagi ne aaj tak har cheez ke tukde kiye
tukḍon ne aansu mein nahaane ke liye aawaaz di
महबूब ने मुझ को बुलाने के लिए आवाज़ दी
यादों ने फिर मुझ को सताने के लिए आवाज़ दी
मेरे लिए जो इश्क़ में आहें कभी भरती रही
अब बेरुख़ी मुझ को दिखाने के लिए आवाज़ दी
जिस से किया था इश्क़ कामिल जान थी मेरी कभी
उस ने मुझे सब कुछ भुलाने के लिए आवाज़ दी
जिस इश्क़ की ख़ातिर कभी ली थी सभी से दुश्मनी
फिर दोस्ती उन से जमाने के लिए आवाज़ दी
इस ज़िन्दगी ने आज तक हर चीज़ के टुकड़े किए
टुकड़ों ने आँसू में नहाने के लिए आवाज़ दी
As you were reading Shayari by arjun chamoli
our suggestion based on arjun chamoli
As you were reading undefined Shayari