ye udaasi badh rahi phir yaad aaye vo zamaane
be-qaraari bhi wahi phir yaad aaye vo zamaane
dard ke saaye ghire aur raushni-e-tab'ah jaaye
yaad-dilbar aa rahi phir yaad aaye vo zamaane
zeest ko bhi haq wahi jaise shigufte gul khile hai
aaj maange haq wahi phir yaad aaye vo zamaane
doobti kashti kinaara dhundhti lehron mein jaise
waisi koshish munthahi phir yaad aaye vo zamaane
aaj tak sajda kiya hai chaah badhti ja rahi hai
baat maine sach kahi phir yaad aaye vo zamaane
vo kamaal-e-zabt ab tak to musalsal chal raha tha
ho gaye ab mushtahi phir yaad aaye vo zamaane
vo rifaqat vo haqeeqat lutf unka yaad aaye
aarzoo hai ab wahi phir yaad aaye vo zamaane
saath khilte gul ko dekha rang dooje ka churaaya
jab dikhi chori wahi phir yaad aaye vo zamaane
khwaab kii us raakh mein kuchh aag shaayad rah gai ho
vo sulagti ja rahi phir yaad aaye vo zamaane
ab bhi vo misl-e-saba hai phool khilte ja rahe hain
khil pade gulshan wahi phir yaad aaye vo zamaane
ab bhi jism-o-jaan mein mere vo khumaari aashna kii
jaam ho arjun wahi phir yaad aaye vo zamaane
ये उदासी बढ़ रही फिर याद आए वो ज़माने
बे-क़रारी भी वही फिर याद आए वो ज़माने
दर्द के साए घिरे और रौशनी-ए-तब्'अ जाए
याद-दिलबर आ रही फिर याद आए वो ज़माने
ज़ीस्त को भी हक़ वही जैसे शिगुफ़्ता गुल खिले है
आज माँगे हक़ वही फिर याद आए वो ज़माने
डूबती कश्ती किनारा ढूँढ़ती लहरों में जैसे
वैसी कोशिश मुंतही फिर याद आए वो ज़माने
आज तक सज्दा किया है चाह बढ़ती जा रही है
बात मैंने सच कही फिर याद आए वो ज़माने
वो कमाल-ए-ज़ब्त अब तक तो मुसलसल चल रहा था
हो गए अब मुश्तही फिर याद आए वो ज़माने
वो रिफ़ाक़त वो हक़ीक़त लुत्फ़ उनका याद आए
आरज़ू है अब वही फिर याद आए वो ज़माने
साथ खिलते गुल को देखा रंग दूजे का चुराया
जब दिखी चोरी वही फिर याद आए वो ज़माने
ख़्वाब की उस राख में कुछ आग शायद रह गई हो
वो सुलगती जा रही फिर याद आए वो ज़माने
अब भी वो मिस्ल-ए-सबा है फूल खिलते जा रहे हैं
खिल पड़े गुलशन वही फिर याद आए वो ज़माने
अब भी जिस्म-ओ-जाँ में मेरे वो ख़ुमारी आश्ना की
जाम हो 'अर्जुन' वही फिर याद आए वो ज़माने
As you were reading Shayari by arjun chamoli
our suggestion based on arjun chamoli
As you were reading undefined Shayari