dard ko aur bahut zor jhanjhodaa jaaye
jo maraasim hain unhen jald hi toda jaaye
is ki deewaron se sar aur na phoda jaaye
qasr tanhaai ka ab jald hi toda jaaye
ek muddat se isee soch mein dil dooba hai
kis tarah saath bhala aapka chhodaa jaaye
dushmani pyaas ne karli hai samandar se dost
sochti rahti hai patthar hi nichoda jaaye
berukhi jaan bhi le sakti hai deewane ki
chaahne waale se munh aur na modaa jaaye
दर्द को और बहुत ज़ोर झँझोड़ा जाए
जो मरासिम हैं उन्हें जल्द ही तोड़ा जाए
इस की दीवारों से सर और न फोड़ा जाए
क़स्र तन्हाई का अब जल्द ही तोड़ा जाए
एक मुद्दत से इसी सोच में दिल डूबा है
किस तरह साथ भला आपका छोड़ा जाए
दुश्मनी प्यास ने करली है समंदर से दोस्त
सोचती रहती है पत्थर ही निचोड़ा जाए
बेरुख़ी जान भी ले सकती है दीवाने की
चाहने वाले से मुँह और न मोड़ा जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading Aah Shayari Shayari