hijr-o-gham kii khuraak hoti hai
jo mohabbat tapaak hoti hai
ilm milta hai in kitaabon se
zehaniyat tabaanaak hoti hai
maut se jab mila to ye jaana
zindagi dardnaak hoti hai
ab junoon hai na koii paas-e-wafa
baat bas theek thaak hoti hai
ishq mein chahe kuchh bhi ho taameer
aakhirsh khaak khaak hoti hai
ishq mein aur kuchh nahin saahil
aabroo chaak-chaak hoti hai
हिज्र-ओ-ग़म की ख़ुराक होती है
जो मोहब्बत तपाक होती है
इल्म मिलता है इन किताबों से
ज़ेहनियत ताबनाक होती है
मौत से जब मिला तो ये जाना
ज़िंदगी दर्दनाक होती है
अब जुनूँ है न कोई पास-ए-वफ़ा
बात बस ठीक ठाक होती है
इश्क़ में चाहे कुछ भी हो तामीर
आख़िरश ख़ाक ख़ाक होती है
इश्क़ में और कुछ नहीं 'साहिल'
आबरू चाक-चाक होती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading Qabr Shayari Shayari