kiya hai ishq bata tune kya kabhi jugnoo
jalaae firta hai khud ko jo har ghadi jugnoo
bhale lutaaye zamaane mein raushni jugnoo
shafaq kii kar na sakega baraabari jugnoo
mila jo shams se nashsha utar gaya saara
banaaye firta tha baatein badi badi jugnoo
har ek samt yun teera-shabee mein udta hai
tujhe bhi jaise mili ho payambari jugnoo
tamaam umr tazbazub raha ye aankhon ko
gulaabi peela haraa ya hai baingani jugnoo
bacha ke apna badan rakh tu raat kii raani
kahin na cheen le teri ye kam-sini jugnoo
siyaah raat use bhi nigal gai dekho
bacha tha paas mere ik jo aakhiri jugnoo
unhen tu ashk samajhne kii bhool karta hai
jo meri aankh se girte hain qeemti jugnoo
bhatak bhatak ke ye shaair adab ke jungle mein
pakadte rahte hain saare tasavvuri jugnoo
ghazal mein hat ke zara aur kuchh kaho saahil
radif bazm mein baandhi hain sab ne hi jugnoo
किया है इश्क़ बता तूने क्या कभी जुगनू
जलाए फिरता है ख़ुद को जो हर घड़ी जुगनू
भले लुटाए ज़माने में रौशनी जुगनू
शफ़क़ की कर न सकेगा बराबरी जुगनू
मिला जो शम्स से नश्शा उतर गया सारा
बनाए फिरता था बातें बड़ी बड़ी जुगनू
हर एक सम्त यूँ तीरा-शबी में उड़ता है
तुझे भी जैसे मिली हो पयम्बरी जुगनू
तमाम उम्र तज़बज़ुब रहा ये आँखों को
गुलाबी पीला हरा या है बैंगनी जुगनू
बचा के अपना बदन रख तू रात की रानी
कहीं न छीन ले तेरी ये कम-सिनी जुगनू
सियाह रात उसे भी निगल गई देखो
बचा था पास मेरे इक जो आख़िरी जुगनू
उन्हें तू अश्क समझने की भूल करता है
जो मेरी आँख से गिरते हैं क़ीमती जुगनू
भटक भटक के ये शाइर अदब के जंगल में
पकड़ते रहते हैं सारे तसव्वुरी जुगनू
ग़ज़ल में हट के ज़रा और कुछ कहो साहिल
रदीफ़ बज़्म में बाँधी हैं सब ने ही जुगनू
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading Ujaala Shayari Shayari