koii laakh darja bhale khoob roo ho
nahin hai ye mumkin nabi hoo-b-hoo ho
hazaaron tasavvur ho ik aarzoo ho
jahaan bhar mein jalwa tera chaarsoo ho
tere dar kii har shakhs chahe ziyaarat
zamaane mein teri hi bas guftagoo ho
nigaahon pe aqaa karam itna kar de
main dekhoon jidhar bhi udhar tu hi tu ho
teri rahmaton kii vo baarish ho mujh par
ki eemaan ka sabza mera purnumoo ho
tujhe jab pukaare meri chalti saansen
badan mein mere tab hi kuchh haw huu ho
karunga tere naam par hi main bai'at
bhale laakh duniya ye meri urdu ho
zamaane ko deen aashnaa karne waale
baroz-e-qayaamat tu hi khair khoo ho
vo dil kam nahin hota saahil haram se
jahaan wasl-e-mahboob kii aarzoo ho
कोई लाख दर्जा भले ख़ूब रू हो
नहीं है ये मुमकिन नबी हू-ब-हू हो
हज़ारों तसव्वुर हो इक आरज़ू हो
जहाँ भर में जलवा तेरा चारसू हो
तेरे दर की हर शख़्स चाहे ज़ियारत
ज़माने में तेरी ही बस गुफ़्तगू हो
निगाहों पे आक़ा करम इतना कर दे
मैं देखूँ जिधर भी उधर तू ही तू हो
तेरी रहमतों की वो बारिश हो मुझ पर
कि ईमाँ का सब्ज़ा मेरा पुरनुमू हो
तुझे जब पुकारें मेरी चलती साँसें
बदन में मेरे तब ही कुछ हाव हू हो
करूँगा तेरे नाम पर ही मैं बैअत
भले लाख दुनिया ये मेरी उदू हो
ज़माने को दीं आशना करने वाले
बरोज़-ए-क़यामत तू ही ख़ैर ख़ू हो
वो दिल कम नहीं होता साहिल हरम से
जहाँ वस्ल-ए-महबूब की आरज़ू हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading Terrorism Shayari Shayari