jo saccha hai achha bhi ho yaar zaroori thodi hai
yaani achha saccha bhi ho yaar zaroori thodi hai
jaane kitni sochon ka hai markaz insaano ka dimaagh
jo tanhaa hai tanhaa bhi ho yaar zaroori thodi hai
khoob tabeebon ne kar li hai aaj tarqqi lekin sach
har ik marz ka nuskha bhi ho yaar zaroori thodi hai
kun-fay-koon ke jaadu ko to ek khuda hi jaane bas
raaj khuda ka ifsha bhi ho yaar zaroori thodi hai
ishq ki peti mein gham zillat khilwat kasak sabhi milte
lekin vasl ka sikka bhi ho yaar zaroori thodi hai
meri mohabbat teri dulhan ho baithi lekin tera
rooh pe uski qabza bhi ho yaar zaroori thodi hai
raanjhe majnoon jaisi shohrat sab paaye yah namumkin
sab ke ishq ka charcha bhi ho yaar zaroori thodi hai
bahr se khaariz hai har misra kehne waale sun le tu
ilm-e-aruuz mein pukhta bhi ho yaar zaroori thodi hai
जो सच्चा है अच्छा भी हो यार ज़रूरी थोड़ी है
यानी अच्छा सच्चा भी हो यार ज़रूरी थोड़ी है
जाने कितनी सोचों का है मरकज़ इंसानों का दिमाग़
जो तन्हा है तन्हा भी हो यार ज़रूरी थोड़ी है
ख़ूब तबीबों ने कर ली है आज तरक़्क़ी लेकिन सच
हर इक मरज़ का नुस्ख़ा भी हो यार ज़रूरी थोड़ी है
कुनफ़यकून के जादू को तो एक ख़ुदा ही जाने बस
राज ख़ुदा का इफ़्शा भी हो यार ज़रूरी थोड़ी है
इश्क़ की पेटी में ग़म ज़िल्लत ख़लवत कसक सभी मिलते
लेकिन वस्ल का सिक्का भी हो यार ज़रूरी थोड़ी है
मेरी मोहब्ब्त तेरी दुल्हन हो बैठी लेकिन तेरा
रूह पे उसकी क़ब्ज़ा भी हो यार ज़रूरी थोड़ी है
राँझे मजनूँ जैसी शोहरत सब पाएँ यह नामुमकिन
सब के इश्क़ का चर्चा भी हो यार ज़रूरी थोड़ी है
बह्र से ख़ारिज है हर मिसरा कहने वाले सुन ले तू
इल्मएअरूज़ में पुख़्ता भी हो यार ज़रूरी थोड़ी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading Dard Shayari Shayari