shehar bhar par azaab aata hai | शहर भर पर 'अज़ाब आता है

  - A R Sahil "Aleeg"

shehar bhar par azaab aata hai
jab bhi vo be-naqaab aata hai

vo bhi izzat-maab aata hai
shaakh par jab gulaab aata hai

munh pe dale naqaab aata hai
chat pe jab mahtaab aata hai

jab hujoom-e-sahaab aata hai
barq par bhi shabaab aata hai

zulm badhte hain rafta-rafta aur
yak-b-yak inqilaab aata hai

tez-rau yaad aati hai uski
jis tarah sail-e-aab aata hai

jurm kitne hain nekiyaan kitni
roz-e-mahshar hisaab aata hai

roo-b-roo achhe din nahin aate
jab bhi aata hai khwaab aata hai

qahar dhaata hai naaz ka lashkar
jab kisi par shabaab aata hai

ab kahi faakhta nahin mahfooz
nauchne par uqaab aata hai

lab pe aati hain sau tamannaayein
satah par jyon habaab aata hai

dam nikalta hai kaali raaton ka
saj ke jab aftaab aata hai

may-kada sirf main nahin jaata
vo bhi izzat-maab aata hai

lagne lagta hai aur bhi kamsin
jab kisi par shabaab aata hai

saj sanwarta hai jab vo shola rooh
har taraf iltihaab aata hai

khulne lagte hain baab mahshar ke
zulm par jab shabaab aata hai

aise aata hai milne vo saahil
jaise aali-janaab aata hai

शहर भर पर 'अज़ाब आता है
जब भी वो बे-नक़ाब आता है

वो भी 'इज़्ज़त-मआब आता है
शाख़ पर जब गुलाब आता है

मुँह पे डाले नक़ाब आता है
छत पे जब माहताब आता है

जब हुजूम-ए-सहाब आता है
बर्क़ पर भी शबाब आता है

ज़ुल्म बढ़ते हैं रफ़्ता-रफ़्ता और
यक-ब-यक इंक़िलाब आता है

तेज़-रौ याद आती है उसकी
जिस तरह सैल-ए-आब आता है

जुर्म कितने हैं नेकियाँ कितनी
रोज़-ए-महशर हिसाब आता है

रू-ब-रू अच्छे दिन नहीं आते
जब भी आता है ख़्वाब आता है

क़हर ढाता है नाज़ का लश्कर
जब किसी पर शबाब आता है

अब कहीं फ़ाख़्ता नहीं महफ़ूज़
नौचने पर 'उक़ाब आता है

लब पे आती हैं सौ तमन्नाएँ
सतह पर ज्यों हबाब आता है

दम निकलता है काली रातों का
सज के जब आफ़ताब आता है

मय-कदा सिर्फ़ मैं नहीं जाता
वो भी 'इज़्ज़त-मआब आता है

लगने लगता है और भी कमसिन
जब किसी पर शबाब आता है

सज सँवरता है जब वो शोला रूह
हर तरफ इल्तिहाब आता है

खुलने लगते हैं बाब महशर के
ज़ुल्म पर जब शबाब आता है

ऐसे आता है मिलने वो साहिल
जैसे 'आली-जनाब आता है

  - A R Sahil "Aleeg"

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by A R Sahil "Aleeg"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari