aadat | "आदत"

  - Aryan Mishra

aadat

vo saath tha aabaad tha
jaise taise nikla hi tha khud se khud ko peechhe chhod kar
par ek aadat se nikalne ke liye doosri aadat daal li
daal li phir se aadat kuchh atpate se naam dene kii
kaam dene kii meri subah meri shaam dene kii
aadat daal li phir se maine
nikaal li maine vo poshaakein jo kabhi dobara nahin pahanne ka man banaya tha
tan nahin sajaaya tha saalon se maine
arse beet gaye the khud ko doosre kii aankhon ke paani mein dekhe
par phir bhi aadat daal li maine
phir se kuchh keshon ko gaalon par sajaane kii
phir se is seene kii ik takiya banaane kii
phir se akshar raat mein ghar der jaane kii
ghalatiyaan saari kisi kii bhool jaane kii
aadat daal li phir se

"आदत"

वो साथ था आबाद था
जैसे तैसे निकला ही था ख़ुद से ख़ुद को पीछे छोड़ कर
पर एक आदत से निकलने के लिए दूसरी आदत डाल ली
डाल ली फिर से आदत कुछ अटपटे से नाम देने की
काम देने की मेरी सुबह मेरी शाम देने की
आदत डाल ली फिर से मैंने
निकाल ली मैंने वो पोशाकें जो कभी दोबारा नहीं पहनने का मन बनाया था
तन नहीं सजाया था सालों से मैंने
अरसे बीत गए थे ख़ुद को दूसरे की आँखों के पानी में देखे
पर फिर भी आदत डाल ली मैंने
फिर से कुछ केशों को गालों पर सजाने की
फिर से इस सीने की इक तकिया बनाने की
फिर से अक्सर रात में घर देर जाने की
ग़लतियाँ सारी किसी की भूल जाने की
आदत डाल ली फिर से

  - Aryan Mishra

More by Aryan Mishra

As you were reading Shayari by Aryan Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Aryan Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari