aankh se dil mein aane waala | आँख से दिल में आने वाला

  - Arzoo Lakhnavi

aankh se dil mein aane waala
dil se nahin ab jaane waala

ghar ko phoonk ke jaane waala
phir ke nahin hai aane waala

dost to hai naadaan hai lekin
be-samjhe samjhaane waala

aansu ponch ke hans deta hai
aag mein aag lagaane waala

hai jo koi to dhyaan usi ka
aane waala jaane waala

husn ki basti mein hai yaaro
koi taras bhi khaane waala

daal raha hai kaam mein mushkil
mushkil mein kaam aane waala

di thi tasalli ye kis dil se
chup na hua chillane waala

khwaab ke parde mein aata hai
sota pa ke jagaane waala

ik din parda khud ultega
chhup-chhup ke tarasaane waala

aarzoo in ke aage hai chup kyun
tum sa baatein banaane waala

आँख से दिल में आने वाला
दिल से नहीं अब जाने वाला

घर को फूँक के जाने वाला
फिर के नहीं है आने वाला

दोस्त तो है नादान है लेकिन
बे-समझे समझाने वाला

आँसू पोंछ के हँस देता है
आग में आग लगाने वाला

है जो कोई तो ध्यान उसी का
आने वाला जाने वाला

हुस्न की बस्ती में है यारो
कोई तरस भी खाने वाला

डाल रहा है काम में मुश्किल
मुश्किल में काम आने वाला

दी थी तसल्ली ये किस दिल से
चुप न हुआ चिल्लाने वाला

ख़्वाब के पर्दे में आता है
सोता पा के जगाने वाला

इक दिन पर्दा ख़ुद उल्टेगा
छुप-छुप के तरसाने वाला

'आरज़ू' इन के आगे है चुप क्यूँ
तुम सा बातें बनाने वाला

  - Arzoo Lakhnavi

Khamoshi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Arzoo Lakhnavi

As you were reading Shayari by Arzoo Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Arzoo Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Khamoshi Shayari Shayari