hain des-bides ek guzar aur basar mein | हैं देस-बिदेस एक गुज़र और बसर में

  - Arzoo Lakhnavi

hain des-bides ek guzar aur basar mein
be-aas ko kab chain mila hai kisi ghar mein

chup main ne lagaaee to hua us ka bhi charcha
jo bhed na khulta ho vo khul jaata hai dar mein

suraj ka ghamand aur nahin taare ke barabar
aisi hi to baatein hain is andher-nagar mein

vo tal nahin sakti jo pahunchne ki ghadi hai
chalta rahe galiyon mein ki baitha rahe ghar mein

hook utthi idhar jee mein udhar kook uthi koel
pooche koi to kaun idhar mein na udhar mein

ai aarzoo aankhon hi mein kat jaate hain din-raat
koi bhi ghadi chain ki hai aath-pahar mein

हैं देस-बिदेस एक गुज़र और बसर में
बे-आस को कब चैन मिला है किसी घर में

चुप मैं ने लगाई तो हुआ उस का भी चर्चा
जो भेद न खुलता हो वो खुल जाता है डर में

सूरज का घमंड और नहीं तारे के बराबर
ऐसी ही तो बातें हैं इस अंधेर-नगर में

वो टल नहीं सकती जो पहुँचने की घड़ी है
चलता रहे गलियों में कि बैठा रहे घर में

हूक उट्ठी इधर जी में उधर कूक उठी कोयल
पूछे कोई तो कौन इधर में न उधर में

ऐ 'आरज़ू' आँखों ही में कट जाते हैं दिन-रात
कोई भी घड़ी चैन की है आठ-पहर में

  - Arzoo Lakhnavi

Ghamand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Arzoo Lakhnavi

As you were reading Shayari by Arzoo Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Arzoo Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Ghamand Shayari Shayari