naale majbooron ke khaali nahin jaane waale
hain ye sota hua insaaf jagaane waale
had se takraati hai jo shay vo palatti hai zaroor
khud bhi roenge ghareebon ko rulaane waale
chup hai parwaana to kya sham'a ko khud hai iqaar
aap hi jalte hain auron ko jalane waale
aarzoo zikr zabaanon pe hai ibarat ke liye
mitne waale hain na baaki hain mitaane waale
नाले मजबूरों के ख़ाली नहीं जाने वाले
हैं ये सोता हुआ इंसाफ़ जगाने वाले
हद से टकराती है जो शय वो पलटती है ज़रूर
ख़ुद भी रोएँगे ग़रीबों को रुलाने वाले
चुप है परवाना तो क्या शम्अ को ख़ुद है इक़रार
आप ही जलते हैं औरों को जलाने वाले
'आरज़ू' ज़िक्र ज़बानों पे है इबरत के लिए
मिटने वाले हैं न बाक़ी हैं मिटाने वाले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Arzoo Lakhnavi
our suggestion based on Arzoo Lakhnavi
As you were reading Tamanna Shayari Shayari