jin raaton mein neend ud jaati hai kya qahar ki raatein hoti hain
darwaazon se takra jaate hain deewaron se baatein hoti hain
aashob-e-judaai kya kahiye an-honi baatein hoti hain
aankhon mein andhera chaata hai jab ujaali raatein hoti hain
jab vo nahin hote pahluu mein aur lambi raatein hoti hain
yaad aa ke sataati rahti hai aur dil se baatein hoti hain
ghir ghir ke baadal aate hain aur be-barse khul jaate hain
ummeedon ki jhooti duniya mein sookhi barsaatein hoti hain
ummeed ka suraj dooba hai aankhon mein andhera chaaya hai
duniya-e-firaq mein din kaisa raatein hi raatein hoti hain
tay karna hain jhagde jeene ke jis tarah bane kahte sunte
behron se bhi paala padta hai goongon se bhi baatein hoti hain
aankhon mein kahaan ras ki boonden kuchh hai to lahu ki laali hai
is badli hui rut mein ab to khooni barsaatein hoti hain
qismat jaage to ham soyen qismat soye to ham jaagen
dono hi ko neend aaye jis mein kab aisi raatein hoti hain
jo kaan laga kar sunte hain kya jaanen rumooz mohabbat ke
ab hont nahin hilne paate aur paharon baatein hoti hain
jo naaz hai vo apnaata hai jo ghamza hai vo lubhaata hai
in rang-birangi pardo mein ghaaton par ghaaten hoti hain
hansne mein jo aansu aate hain nairang-e-jahaan batlaate hain
har roz janaaze jaate hain har roz baraaten hoti hain
jo kuchh bhi khushi se hota hai ye dil ka bojh na ban jaaye
paimaan-e-wafa bhi rahne do sab jhooti baatein hoti hain
jab tak hai dilon mein sacchaai sab naaz-o-niyaaz wahin tak hain
jab khud-gharzi aa jaati hai jul hote hain ghaaten hoti hain
himmat kis ki hai jo pooche ye aarzoo'-e-saudaai se
kyun sahab aakhir akela mein ye kis se baatein hoti hain
जिन रातों में नींद उड़ जाती है क्या क़हर की रातें होती हैं
दरवाज़ों से टकरा जाते हैं दीवारों से बातें होती हैं
आशोब-ए-जुदाई क्या कहिए अन-होनी बातें होती हैं
आँखों में अंधेरा छाता है जब उजाली रातें होती हैं
जब वो नहीं होते पहलू में और लम्बी रातें होती हैं
याद आ के सताती रहती है और दिल से बातें होती हैं
घिर घिर के बादल आते हैं और बे-बरसे खुल जाते हैं
उम्मीदों की झूटी दुनिया में सूखी बरसातें होती हैं
उम्मीद का सूरज डूबा है आँखों में अंधेरा छाया है
दुनिया-ए-फ़िराक़ में दिन कैसा रातें ही रातें होती हैं
तय करना हैं झगड़े जीने के जिस तरह बने कहते सुनते
बहरों से भी पाला पड़ता है गूँगों से भी बातें होती हैं
आँखों में कहाँ रस की बूँदें कुछ है तो लहू की लाली है
इस बदली हुई रुत में अब तो ख़ूनीं बरसातें होती हैं
क़िस्मत जागे तो हम सोएँ क़िस्मत सोए तो हम जागें
दोनों ही को नींद आए जिस में कब ऐसी रातें होती हैं
जो कान लगा कर सुनते हैं क्या जानें रुमूज़ मोहब्बत के
अब होंट नहीं हिलने पाते और पहरों बातें होती हैं
जो नाज़ है वो अपनाता है जो ग़म्ज़ा है वो लुभाता है
इन रंग-बिरंगी पर्दों में घातों पर घातें होती हैं
हँसने में जो आँसू आते हैं नैरंग-ए-जहाँ बतलाते हैं
हर रोज़ जनाज़े जाते हैं हर रोज़ बरातें होती हैं
जो कुछ भी ख़ुशी से होता है ये दिल का बोझ न बन जाए
पैमान-ए-वफ़ा भी रहने दो सब झूटी बातें होती हैं
जब तक है दिलों में सच्चाई सब नाज़-ओ-नियाज़ वहीं तक हैं
जब ख़ुद-ग़र्ज़ी आ जाती है जुल होते हैं घातें होती हैं
हिम्मत किस की है जो पूछे ये 'आरज़ू'-ए-सौदाई से
क्यूँ साहब आख़िर अकेले में ये किस से बातें होती हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Arzoo Lakhnavi
our suggestion based on Arzoo Lakhnavi
As you were reading Qismat Shayari Shayari