aaraam ke the saathi kya kya jab waqt pada to koi nahin | आराम के थे साथी क्या क्या जब वक़्त पड़ा तो कोई नहीं

  - Arzoo Lakhnavi

aaraam ke the saathi kya kya jab waqt pada to koi nahin
sab dost hain apne matlab ke duniya mein kisi ka koi nahin

gul-gasht mein daaman munh pe na lo nargis se haya kya hai tum ko
us aankh se parda karte ho jis aankh mein parda koi nahin

jo baagh tha kal phoolon se bhara atkheliyon se chalti thi saba
ab sumbul o gul ka zikr to kya khaak udti hai us ja koi nahin

kal jin ko andhere se tha hazar rehta tha charaaghaan peshe-e-nazar
ik sham'a jala de turbat par juz daagh ab itna koi nahin

jab band hui aankhen to khula do roz ka tha saara jhagda
takht us ka na ab hai taaj us ka askandar o daara koi nahin

qattaal-e-jahaan maashooq jo the soone pade hain marqad un ke
ya marne waale laakhon the ya rone waala koi nahin

ai aarzoo ab tak itna pata chalta hai tiri barbaadi ka
jis se na bagule hon paida is tarah ka sehra koi nahin

आराम के थे साथी क्या क्या जब वक़्त पड़ा तो कोई नहीं
सब दोस्त हैं अपने मतलब के दुनिया में किसी का कोई नहीं

गुल-गश्त में दामन मुँह पे न लो नर्गिस से हया क्या है तुम को
उस आँख से पर्दा करते हो जिस आँख में पर्दा कोई नहीं

जो बाग़ था कल फूलों से भरा अटखेलियों से चलती थी सबा
अब सुम्बुल ओ गुल का ज़िक्र तो क्या ख़ाक उड़ती है उस जा कोई नहीं

कल जिन को अंधेरे से था हज़र रहता था चराग़ाँ पेश-ए-नज़र
इक शम्अ जला दे तुर्बत पर जुज़ दाग़ अब इतना कोई नहीं

जब बंद हुईं आँखें तो खुला दो रोज़ का था सारा झगड़ा
तख़्त उस का न अब है ताज उस का अस्कंदर ओ दारा कोई नहीं

क़त्ताल-ए-जहाँ माशूक़ जो थे सूने पड़े हैं मरक़द उन के
या मरने वाले लाखों थे या रोने वाला कोई नहीं

ऐ 'आरज़ू' अब तक इतना पता चलता है तिरी बर्बादी का
जिस से न बगूले हों पैदा इस तरह का सहरा कोई नहीं

  - Arzoo Lakhnavi

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Arzoo Lakhnavi

As you were reading Shayari by Arzoo Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Arzoo Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari