meri nigaah kahaan deed-e-husn-e-yaar kahaan | मिरी निगाह कहाँ दीद-ए-हुस्न-ए-यार कहाँ - Arzoo Lakhnavi

meri nigaah kahaan deed-e-husn-e-yaar kahaan
ho etibaar to phir taab-e-intizaar kahaan

dilon mein farq hua jab to chaah pyaar kahaan
chaman chaman hi nahin aayegi bahaar kahaan

jise ye kah ke vo hans den ki qissa achha hai
vo raaz khul ke bhi hota hai aashkaar kahaan

umang thi ye jawaani ki ya koi aandhi
mila ke khaak mein hum ko gai bahaar kahaan

umeed-waar banaane se muddaa kya tha
jab aas tum ne dila di to ab qaraar kahaan

mili hai is liye do-chaar din ki aazaadi
ki sarf karta hai dekhen ye ikhtiyaar kahaan

ye shauq le ke chala hai chaman se shakl-e-naseem
ki dekhen milti hai jaati hui bahaar kahaan

hai ek shart wafa ki vo qaid-e-be-zanjeer
sab ikhtiyaar hain aur kuch bhi ikhtiyaar kahaan

mite nishaan pe nazar kar ke ro jise chahe
tire sitam ki hai turbat mera mazaar kahaan

tum aisa ahd-shikan aarzoo sa na-ummeed
kaho jo sach bhi to aata hai e'tibaar kahaan

मिरी निगाह कहाँ दीद-ए-हुस्न-ए-यार कहाँ
हो एतिबार तो फिर ताब-ए-इंतिज़ार कहाँ

दिलों में फ़र्क़ हुआ जब तो चाह प्यार कहाँ
चमन चमन ही नहीं आएगी बहार कहाँ

जिसे ये कह के वो हँस दें कि क़िस्सा अच्छा है
वो राज़ खुल के भी होता है आश्कार कहाँ

उमंग थी ये जवानी की या कोई आँधी
मिला के ख़ाक में हम को गई बहार कहाँ

उमीद-वार बनाने से मुद्दआ क्या था
जब आस तुम ने दिला दी तो अब क़रार कहाँ

मिली है इस लिए दो-चार दिन की आज़ादी
कि सर्फ़ करता है देखें ये इख़्तियार कहाँ

ये शौक़ ले के चला है चमन से शक्ल-ए-नसीम
कि देखें मिलती है जाती हुई बहार कहाँ

है एक शर्त वफ़ा की वो क़ैद-ए-बे-ज़ंजीर
सब इख़्तियार हैं और कुछ भी इख़्तियार कहाँ

मिटे निशाँ पे नज़र कर के रो जिसे चाहे
तिरे सितम की है तुर्बत मिरा मज़ार कहाँ

तुम ऐसा अहद-शिकन 'आरज़ू' सा ना-उम्मीद
कहो जो सच भी तो आता है ए'तिबार कहाँ

- Arzoo Lakhnavi
0 Likes

Ummeed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Arzoo Lakhnavi

As you were reading Shayari by Arzoo Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Arzoo Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Ummeed Shayari Shayari