tum door ho to pyaar ka mausam na aayega
ab ke baras bahaar ka mausam na aayega
choomunga kis ki zulf ghataon ko dekh kar
ik jurm-e-khush-gawaar ka mausam na aayega
chalke sharaab barq gire ya jalen charaagh
zikr-e-nigaah-e-yaar ka mausam na aayega
waada-khilaafiyon ko taras jaayega yaqeen
raaton ko intizaar ka mausam na aayega
tujh se bichhad ke zindagi ho jaayegi taveel
ehsaas ke nikhaar ka mausam na aayega
तुम दूर हो तो प्यार का मौसम न आएगा
अब के बरस बहार का मौसम न आएगा
चूमूँगा किस की ज़ुल्फ़ घटाओं को देख कर
इक जुर्म-ए-ख़ुश-गवार का मौसम न आएगा
छलके शराब बर्क़ गिरे या जलें चराग़
ज़िक्र-ए-निगाह-ए-यार का मौसम न आएगा
वादा-ख़िलाफ़ियों को तरस जाएगा यक़ीं
रातों को इंतिज़ार का मौसम न आएगा
तुझ से बिछड़ के ज़िंदगी हो जाएगी तवील
एहसास के निखार का मौसम न आएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Asad Bhopali
our suggestion based on Asad Bhopali
As you were reading Sharaab Shayari Shayari