ek patjhad sa hai laga mujh mein
phir koi gul nahin khila mujh mein
ghar ki khidki se jhonkne waala
meri aankhon se jhaankta mujh mein
zabt mein mubtala meri aankhen
ek dariya sa sookhta mujh mein
dil-shikasta mein bhar gai seelan
koi shiddat se ro raha mujh mein
teri yaadein bhi kar gaeein hijrat
ab to kuchh bhi nahin bacha mujh mein
एक पतझड़ सा है लगा मुझ में
फिर कोई गुल नहीं खिला मुझ में
घर की खिड़की से झोंकने वाला
मेरी आँखों से झाँकता मुझ में
ज़ब्त में मुब्तला मिरी आँखें
एक दरिया सा सूखता मुझ में
दिल-शिकस्ता में भर गई सीलन
कोई शिद्दत से रो रहा मुझ में
तेरी यादें भी कर गईं हिजरत
अब तो कुछ भी नहीं बचा मुझ में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ashu Mishra
our suggestion based on Ashu Mishra
As you were reading Samundar Shayari Shayari