meri khaamoshi ka taqaza hai ki vazaahaton se jawaab de | मेरी ख़ामुशी का तक़ाज़ा है कि वज़ाहतों से जवाब दे

  - Abdulla Asif

meri khaamoshi ka taqaza hai ki vazaahaton se jawaab de
tu qaraar apna na yaad rakh meri chaahaton ka hisaab de

main tasavvuroun ko na rok paaya nikal pade hain vo arsh par
meri juraton ko muaaf kar mere hauslon ko uqaab de

na hareef aise bhi de mujhe ki mujhe deleri se dar lage
mere dushmanon ki tu khair kar mere dushmanon ko tu taab de

main yahan nahin to kahaan hoon main jo kahin nahin to kahaan hoon main
main yahan nahin hoon vo theek hai tu kahin nahin ka jawaab de

मेरी ख़ामुशी का तक़ाज़ा है कि वज़ाहतों से जवाब दे
तू क़रार अपना न याद रख मेरी चाहतों का हिसाब दे

मैं तसव्वुरों को न रोक पाया निकल पड़े हैं वो अर्श पर
मेरी जुरअतों को मुआफ़ कर मेरे हौसलों को उक़ाब दे

न हरीफ़ ऐसे भी दे मुझे कि मुझे दिलेरी से डर लगे
मेरे दुश्मनों कि तू ख़ैर कर मेरे दुश्मनों को तू ताब दे

मैं यहाँ नहीं तो कहाँ हूँ मैं जो कहीं नहीं तो कहाँ हूँ मैं
मैं यहाँ नहीं हूँ वो ठीक है तू कहीं नहीं का जवाब दे

  - Abdulla Asif

More by Abdulla Asif

As you were reading Shayari by Abdulla Asif

Similar Writers

our suggestion based on Abdulla Asif

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari