wakeelon se farebi kii qabeelon se bagaavat kii
nigaahon ko padha jisne use dil se muhabbat kii
khuda bhi bol baitha ye gazab apvaad hai pyaare
batao kaun hai jisne mohabbat mein shikaayat kii
parakh ke dekh le jo maang apni jaan rakh doonga
zara sa muskuraa de maa na kar tu baat qeemat kii
behaate aankh se moti ladaate daal se roti
ghareebon ko hamesha se saza milti ibadat kii
sadak pe aabroo ko nochti bazaar geedad hai
jalaati yaad mein phir mom-batti chaar laanat kii
jinhen bhi dekhne ka shauq hai unko dikhaaunga
bichha ke laash sikko kii bana shamshaan daulat kii
pali hai zindagi sabki mili jo bheekh baadal se
jahaan mein kaun karta qadr boonden kii inaayat kii
वकीलों से फ़रेबी की क़बीलों से बग़ावत की
निगाहों को पढ़ा जिसने उसे दिल से मुहब्बत की
ख़ुदा भी बोल बैठा ये ग़ज़ब अपवाद है प्यारे
बताओ कौन है जिसने मोहब्बत में शिकायत की
परख के देख ले जो माँग अपनी जान रख दूँगा
ज़रा सा मुस्कुरा दे माँ न कर तू बात क़ीमत की
बहाते आँख से मोती लड़ाते दाल से रोटी
ग़रीबों को हमेशा से सज़ा मिलती इबादत की
सड़क पे आबरू को नोचती बाज़ार गीदड़ है
जलाती याद में फिर मोम-बत्ती चार लानत की
जिन्हें भी देखने का शौक़ है उनको दिखाऊँगा
बिछा के लाश सिक्कों की बना शमशान दौलत की
पली है ज़िंदगी सबकी मिली जो भीख बादल से
जहाँ में कौन करता क़द्र बूॅंदों की इनायत की
As you were reading Shayari by Aman Vishwakarma 'Avish'
our suggestion based on Aman Vishwakarma 'Avish'
As you were reading undefined Shayari