palkein saari raat bichhaaye rakhte hain | पलकें सारी रात बिछाए रखते हैं - Aves Sayyad

palkein saari raat bichhaaye rakhte hain
par aankhon ko khwaab sulaaye rakhte hain

teri in resham zulfon ke saaye mein
hum chaahat ke phool ugaae rakhte hain

aankhen gesu khushboo chehra uska dil
hum kis kis ke naaz uthaaye rakhte hain

baarish jab hoti hai teri yaadon ki
takiya ye din raat bhigaaye rakhte hain

hum sulagaaye jaate hain cigarette har dam
in honto se aag lagaaye rakhte hain

paagal ladki hum ko sha'ir kahti hai
hum bhi uska vaham banaaye rakhte hain

is mehfil mein jisko dekh rahein hai sab
vo bas hum par aankh jamaaye rakhte hain

sher bana kar tere bakhshe zakhmon ko
mehfil ka maahol banaaye rakhte hain

mujhko sayyad bas sayyad ki chaahat hai
vo ye kah kar shehar jalaae rakhte hain

पलकें सारी रात बिछाए रखते हैं
पर आँखों को ख़्वाब सुलाए रखते हैं

तेरी इन रेशम जुल्फों के साए में
हम चाहत के फूल उगाए रखते हैं

आँखें, गेसू, ख़ुशबू, चेहरा, उसका दिल
हम किस किस के नाज़ उठाए रखते हैं

बारिश जब होती है तेरी यादों की
तकिया ये दिन रात भिगाए रखते हैं

हम सुलगाए जाते हैं सिगरिट हर दम
इन होंटो से आग लगाए रखते हैं

पागल लड़की हम को शा'इर कहती है
हम भी उसका वहम बनाए रखते हैं

इस महफ़िल में जिसको देख रहें है सब
वो बस हम पर आँख जमाए रखते हैं

शेर बना कर तेरे बख़्शे ज़ख़्मों को
महफ़िल का माहौल बनाए रखते हैं

मुझको सय्यद बस सय्यद की चाहत है
वो ये कह कर शहर जलाए रखते हैं

- Aves Sayyad
2 Likes

Jashn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aves Sayyad

As you were reading Shayari by Aves Sayyad

Similar Writers

our suggestion based on Aves Sayyad

Similar Moods

As you were reading Jashn Shayari Shayari