jaane kaisa sog manaaya jaata hai | जाने कैसा सोग मनाया जाता है - Azbar Safeer

jaane kaisa sog manaaya jaata hai
kuch qabron par diya jalaya jaata hai

kuch jismoon ki lazzat poori karne ko
kuch jismoon ko kheench ke laaya jaata hai

vo aankhen pinjare mein hoti hain jin ko
aazaadi ka khwaab dikhaaya jaata hai

vasl to pehla raag hai sab ga lete hain
hijr kahaan har ek se gaaya jaata hai

kuch nuqte alfaaz ki zeenat hote hain
kuch nuqton se kaam chalaaya jaata hai

mumkin hai ki rone ka kuch waqt mile
baarish ka imkaan bataaya jaata hai

जाने कैसा सोग मनाया जाता है
कुछ क़ब्रों पर दिया जलाया जाता है

कुछ जिस्मों की लज़्ज़त पूरी करने को
कुछ जिस्मों को खींच के लाया जाता है

वो आँखें पिंजरे में होती हैं जिन को
आज़ादी का ख़्वाब दिखाया जाता है

वस्ल तो पहला राग है सब गा लेते हैं
हिज्र कहाँ हर एक से गाया जाता है

कुछ नुक़्ते अल्फ़ाज़ की ज़ीनत होते हैं
कुछ नुक़्तों से काम चलाया जाता है

मुमकिन है कि रोने का कुछ वक़्त मिले
बारिश का इम्कान बताया जाता है

- Azbar Safeer
3 Likes

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azbar Safeer

As you were reading Shayari by Azbar Safeer

Similar Writers

our suggestion based on Azbar Safeer

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari