ghutan si hone lagi us ke paas jaate hue | घुटन सी होने लगी उस के पास जाते हुए

  - Azhar Iqbal

ghutan si hone lagi us ke paas jaate hue
main khud se rooth gaya hoon use manaate hue

ye zakham zakham manaazir lahu lahu chehre
kahaan chale gaye vo log hanste gaate hue

na jaane khatm hui kab hamaari aazaadi
taalluqaat ki paabandiyaan nibhaate hue

hai ab bhi bistar-e-jaan par tire badan ki shikan
main khud hi mitne laga hoon use mitaate hue

tumhaare aane ki ummeed bar nahin aati
main raakh hone laga hoon diye jalate hue

घुटन सी होने लगी उस के पास जाते हुए
मैं ख़ुद से रूठ गया हूँ उसे मनाते हुए

ये ज़ख़्म ज़ख़्म मनाज़िर लहू लहू चेहरे
कहाँ चले गए वो लोग हँसते गाते हुए

न जाने ख़त्म हुई कब हमारी आज़ादी
तअल्लुक़ात की पाबंदियाँ निभाते हुए

है अब भी बिस्तर-ए-जाँ पर तिरे बदन की शिकन
मैं ख़ुद ही मिटने लगा हूँ उसे मिटाते हुए

तुम्हारे आने की उम्मीद बर नहीं आती
मैं राख होने लगा हूँ दिए जलाते हुए

  - Azhar Iqbal

Good morning Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhar Iqbal

As you were reading Shayari by Azhar Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Azhar Iqbal

Similar Moods

As you were reading Good morning Shayari Shayari