gulaab chaandni-raaton pe vaar aaye ham
tumhaare honton ka sadqa utaar aaye ham
vo ek jheel thi shaffaaf neel paani ki
aur us mein doob ko khud ko nikhaar aaye ham
tire hi lams se un ka khiraaj mumkin hai
tire baghair jo umren guzaar aaye ham
phir us gali se guzarna pada tiri khaatir
phir us gali se bahut be-qaraar aaye ham
ye kya sitam hai ki is nashsha-e-mohabbat mein
tire siva bhi kisi ko pukaar aaye ham
गुलाब चाँदनी-रातों पे वार आए हम
तुम्हारे होंटों का सदक़ा उतार आए हम
वो एक झील थी शफ़्फ़ाफ़ नील पानी की
और उस में डूब को ख़ुद को निखार आए हम
तिरे ही लम्स से उन का ख़िराज मुमकिन है
तिरे बग़ैर जो उम्रें गुज़ार आए हम
फिर उस गली से गुज़रना पड़ा तिरी ख़ातिर
फिर उस गली से बहुत बे-क़रार आए हम
ये क्या सितम है कि इस नश्शा-ए-मोहब्बत में
तिरे सिवा भी किसी को पुकार आए हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Azhar Iqbal
our suggestion based on Azhar Iqbal
As you were reading Jafa Shayari Shayari