ye baar-e-gham bhi uthaya nahin bahut din se
ki us ne ham ko rulaaya nahin bahut din se
chalo ki khaak udaayein chalo sharaab piyein
kisi ka hijr manaaya nahin bahut din se
ye kaifiyat hai meri jaan ab tujhe kho kar
ki ham ne khud ko bhi paaya nahin bahut din se
har ek shakhs yahan mahv-e-khwaab lagta hai
kisi ne ham ko jagaaya nahin bahut din se
ye khauf hai ki ragon mein lahu na jam jaaye
tumhein gale se lagaaya nahin bahut din se
ये बार-ए-ग़म भी उठाया नहीं बहुत दिन से
कि उस ने हम को रुलाया नहीं बहुत दिन से
चलो कि ख़ाक उड़ाएँ चलो शराब पिएँ
किसी का हिज्र मनाया नहीं बहुत दिन से
ये कैफ़ियत है मेरी जान अब तुझे खो कर
कि हम ने ख़ुद को भी पाया नहीं बहुत दिन से
हर एक शख़्स यहाँ महव-ए-ख़्वाब लगता है
किसी ने हम को जगाया नहीं बहुत दिन से
ये ख़ौफ़ है कि रगों में लहू न जम जाए
तुम्हें गले से लगाया नहीं बहुत दिन से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Azhar Iqbal
our suggestion based on Azhar Iqbal
As you were reading One sided love Shayari Shayari