hui na khatm teri rahguzar kya karte | हुई न ख़त्म तेरी रहगुज़ार क्या करते

  - Azhar Iqbal

hui na khatm teri rahguzar kya karte
tere hisaar se khud ko firaar kya karte

safeena ghark hi karna pada hamein aakhir
tire baghair samundar ko paar kya karte

bas ek sukoot hi jis ka jawaab hona tha
wahi sawaal miyaan baar baar kya karte

phir is ke baad manaaya na jashn khushboo ka
lahu mein doobi thi fasl-e-bahaar kya karte

nazar ki zad mein naye phool aa gaye azhar
gai rutoon ka bhala intizaar kya karte

हुई न ख़त्म तेरी रहगुज़ार क्या करते
तेरे हिसार से ख़ुद को फ़रार क्या करते

सफ़ीना ग़र्क़ ही करना पड़ा हमें आख़िर
तिरे बग़ैर समुंदर को पार क्या करते

बस एक सुकूत ही जिस का जवाब होना था
वही सवाल मियाँ बार बार क्या करते

फिर इस के बाद मनाया न जश्न ख़ुश्बू का
लहू में डूबी थी फ़स्ल-ए-बहार क्या करते

नज़र की ज़द में नए फूल आ गए 'अज़हर'
गई रुतों का भला इंतिज़ार क्या करते

  - Azhar Iqbal

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhar Iqbal

As you were reading Shayari by Azhar Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Azhar Iqbal

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari