mujh ko vehshat hui mere ghar se | मुझ को वहशत हुई मिरे घर से - Azhar Iqbal

mujh ko vehshat hui mere ghar se
raat teri judaai ke dar se

teri furqat ka habs tha andar
aur dam ghut raha tha baahar se

jism ki aag bujh gai lekin
phir nadaamat ke ashk bhi barase

ek muddat se hain safar mein hum
ghar mein rah kar bhi jaise beghar se

baar-ha teri justuju mein hum
tujh se milne ke baad bhi tarse

मुझ को वहशत हुई मिरे घर से
रात तेरी जुदाई के डर से

तेरी फ़ुर्क़त का हब्स था अंदर
और दम घुट रहा था बाहर से

जिस्म की आग बुझ गई लेकिन
फिर नदामत के अश्क भी बरसे

एक मुद्दत से हैं सफ़र में हम
घर में रह कर भी जैसे बेघर से

बार-हा तेरी जुस्तुजू में हम
तुझ से मिलने के बाद भी तरसे

- Azhar Iqbal
8 Likes

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhar Iqbal

As you were reading Shayari by Azhar Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Azhar Iqbal

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari